Friday, February 4, 2011

'Tahrir' K Jyalon K Naam

yaqin ki aakhiri had tak

sar apne katate chalo

wafar ki aakhiri manzil talak

khoon k nazrane chadate chalo

mufisedeen e arz koi bachne na paye

naam o nishan unke mulk se mitate chalo

koi ghaddar e watan izzat na paye

har ghaddar ki gardan tum udate chalo

khoon behta hai kyun nahaq kamzoron ka

haath qaatil k tum bhi udate chalo

shahon ko kheencho mehlon se unke

sar e daar 'tahrir' pe use chadate chalo

haq ki naaro se goonje gi neel ki wadian

us hasin kal k liye aaj apne lutate chalo

haq o insaf se bhar jayegi yeh zameen

umeedon k pasbano badhte chalo

qafila e shoq k sathyon ghazion

aarzoo k sitaaron badhte chalo

Tuesday, July 21, 2009

nazm

insan hai kyun udas itna' kis ki hai usko talash yahan
shayad jo mil sake na kabhi ' usi khwahish ka hai malal yahan
woh jo apne gham mein hai beaman'woh jo apne dard mein aseer hai
woh nahi jo khud hai aaj apna ' woh karega kis se pyar yahan
apne hee dard ko samjha hai dard e kul' apne hee ranj ka shikwa hai balab
woh kisi aur dard ko samajh sake ' na hai koi aisa hazrat e insan yahan
mujhe phir wahi talash hai' mujhe phir uski hai arzoo
jo badal de mera qalb o zehan ' jo ata kare mujhe nya jahan

qalam

faraz ne likha tha
qalam surkhuroo hai
k jo usne likha
soch raha hoon aaj main
k aakhir maine kya likha
qalam aaj meri faryad karti hai
k tu hamesha ghame jan hi likhta hai
kaun likhega ghame dauran
agar tu mehaz faryad o fughan likhta hai
qalam ki faryad sun kar mujhe
khyal aaya k maine
ghame jan ko hi ghame dauran samajh lia
shayad qalam meri
isi liye surkhuru nahi hai
qalam se kia phir maine wada
k likhoonga ghame dauran zarur
lekin sochta hoon
ghame jan se
churaon kaise peecha huzoor
qalam ko khabar kya k
mera gham hi meri abroo hai
use khabar kya k
isi gham e jan ne
kia hai mujhe is se qareeb
phir bhi qalam ki sur khuroee k liye
maine wada kia hai
ghame dauran zarur likhoonga

tanhae

koi nahi hai mera
tanhae k siwa
tanhae mere andar
rehti hai is tarah
goya'
mujhe tanha nahi chahti hai chorna
main us se
kis tarah churaon peecha
tanhae mera saya
tanhae mera aaena hai
tanhae bakshti hai mujh ko
khud kalami ka sharf goya
tanhae ne mujh ko rakha nahi kabhi bhi tanha
sochta hoon aksar tanha
log darte hain kyun
tanhae se itna
jawab khud hi pa lia maine
rah kar aksar tanha
koi dekhna nahi chahta
zat ka aaena

talash

Aao kuch der baith jayen
mere liye nahi apne liye
daryaft karo ek jahan
apne liye nahi mere liye
huzn ka elaj hai yeh
shifa yeh shikastagi ki hai
na koi gar mile tumhen
eltefat o ishteyaq k liye
to khud ho jao dawa apni
na mil sakegi yeh dawa
"doosre" ki talash mein
khud apni hi talash karo
Aao kuch der baith jayen
mere liye nahi apne liye

kis cheez ki hai fikr tumhen
kis cheez ka itna malal hai
woh nahi mila hai kabhi tumhen
woh nahi milega kabhi tumhen
teri talash jayegi raegan
tera huzn rahega jawedan
tu apne gham mein aseer hai
tu apne gham mein aseer rah
jo tu chahta hai elaj e gham
gar tujhe hai dawa ki talash abhi
to muqame raza ka husool kar
jahan dard o ranj o gham tera
na rahega itna bekaran
shayad yahin milega woh
wahi jis ki tujh ko talash hai
jo talash adhoori bhi rah gaye
to muqam tera buland rahe
woh muqam jo aah o fughan se
pare bhi hai 'buland bhi
Aao kuch der baith jayen
mere liye nahi apne liye

shayar

shayar kaun hota hai
shayar deewana hota hai

nahi'nahi
to phir kya

deewana shayar hota hai
han'shayad

han wahi jo dukh ko sukh
aur sukh ko dukh likhta hai

achcha'achcha

woh jo har gham ko gham e jan banata hai
aur woh jise zindagi hamehsa khwab lagti hai

han'han

wahi jise ahde shabab mein bhi
zindagi azaab lagti hai

achcha'phir woh kaun hai

jo tanhae mein hansta bhi hai gata bhi
tare ginta bhi hai'aahen bharta bhi

han'woh bhi

shayar hi hai jo gata bhi hai rota bhi
rota bhi hai aur jeeta bhi
sher nae likhta hai hamesha
jeene ki ramaq deta hai sabhi ko
pagal samjho ya deewana
shayar hai in sab se begana

achcha' achcha

bat aisi hai agar teri
to tu shayar hai ya deewana

mera malik

aao use awaz den
sunta hai sabhi ki woh
shayad mera elaj bhi
us ke liye aasan ho
woh raheem hai woh kareem hai
zat uski beniyaz hai
pukar loon use jis ghadi
uski zat ghadi emin nahi bandhi
waqt uska ghulam hai
waqt uski shan hai
kuch waqt kabhi mera bhi
shayad naghma saz ho
usi ki zat se umeed hai
usi ki zat ka khyal ho
main usi ki ban jaon sada
main usi ki yad ka nishan hoon
mujhe tham le'mujhe rok le
aye mere rabbe kareem tu
woh hiqaraten'woh himaqaten
sab meri hi adayen hain
tu ghafoor hai'tu azeem hai
meri kasafaton k bad bhi
tera karam mujh pe zarur hai