Tuesday, July 21, 2009

tanhae

koi nahi hai mera
tanhae k siwa
tanhae mere andar
rehti hai is tarah
goya'
mujhe tanha nahi chahti hai chorna
main us se
kis tarah churaon peecha
tanhae mera saya
tanhae mera aaena hai
tanhae bakshti hai mujh ko
khud kalami ka sharf goya
tanhae ne mujh ko rakha nahi kabhi bhi tanha
sochta hoon aksar tanha
log darte hain kyun
tanhae se itna
jawab khud hi pa lia maine
rah kar aksar tanha
koi dekhna nahi chahta
zat ka aaena

1 comment:

  1. Nafs kabhi tanha nahi hai... hai rooh rubaru
    Ek hai keechad... to doosra Arsh ki aabroo.

    ReplyDelete