Tuesday, July 21, 2009

talash

Aao kuch der baith jayen
mere liye nahi apne liye
daryaft karo ek jahan
apne liye nahi mere liye
huzn ka elaj hai yeh
shifa yeh shikastagi ki hai
na koi gar mile tumhen
eltefat o ishteyaq k liye
to khud ho jao dawa apni
na mil sakegi yeh dawa
"doosre" ki talash mein
khud apni hi talash karo
Aao kuch der baith jayen
mere liye nahi apne liye

kis cheez ki hai fikr tumhen
kis cheez ka itna malal hai
woh nahi mila hai kabhi tumhen
woh nahi milega kabhi tumhen
teri talash jayegi raegan
tera huzn rahega jawedan
tu apne gham mein aseer hai
tu apne gham mein aseer rah
jo tu chahta hai elaj e gham
gar tujhe hai dawa ki talash abhi
to muqame raza ka husool kar
jahan dard o ranj o gham tera
na rahega itna bekaran
shayad yahin milega woh
wahi jis ki tujh ko talash hai
jo talash adhoori bhi rah gaye
to muqam tera buland rahe
woh muqam jo aah o fughan se
pare bhi hai 'buland bhi
Aao kuch der baith jayen
mere liye nahi apne liye

No comments:

Post a Comment