Tuesday, July 21, 2009

shayar

shayar kaun hota hai
shayar deewana hota hai

nahi'nahi
to phir kya

deewana shayar hota hai
han'shayad

han wahi jo dukh ko sukh
aur sukh ko dukh likhta hai

achcha'achcha

woh jo har gham ko gham e jan banata hai
aur woh jise zindagi hamehsa khwab lagti hai

han'han

wahi jise ahde shabab mein bhi
zindagi azaab lagti hai

achcha'phir woh kaun hai

jo tanhae mein hansta bhi hai gata bhi
tare ginta bhi hai'aahen bharta bhi

han'woh bhi

shayar hi hai jo gata bhi hai rota bhi
rota bhi hai aur jeeta bhi
sher nae likhta hai hamesha
jeene ki ramaq deta hai sabhi ko
pagal samjho ya deewana
shayar hai in sab se begana

achcha' achcha

bat aisi hai agar teri
to tu shayar hai ya deewana

No comments:

Post a Comment