Tuesday, July 21, 2009

qalam

faraz ne likha tha
qalam surkhuroo hai
k jo usne likha
soch raha hoon aaj main
k aakhir maine kya likha
qalam aaj meri faryad karti hai
k tu hamesha ghame jan hi likhta hai
kaun likhega ghame dauran
agar tu mehaz faryad o fughan likhta hai
qalam ki faryad sun kar mujhe
khyal aaya k maine
ghame jan ko hi ghame dauran samajh lia
shayad qalam meri
isi liye surkhuru nahi hai
qalam se kia phir maine wada
k likhoonga ghame dauran zarur
lekin sochta hoon
ghame jan se
churaon kaise peecha huzoor
qalam ko khabar kya k
mera gham hi meri abroo hai
use khabar kya k
isi gham e jan ne
kia hai mujhe is se qareeb
phir bhi qalam ki sur khuroee k liye
maine wada kia hai
ghame dauran zarur likhoonga

No comments:

Post a Comment